DhunDhta Haq Ko Dar-ba-dar Hai Tu
DhunDhta haq ko dar-ba-dar hai tu
wae apne se be-KHabar hai tu
shan-e-haq aashkar hai tan se
mujid-e-kull-e-KHair-o-shar hai tu
ek mein kya wajud-e-jumla-zuhur
kul mein KHud aap ba-asar hai tu
qudrat-e-kaamila ko ghaur to kar
bahr-e-yaktai ka guhar hai tu
miT apni KHudi KHuda ko pa
nafa hasil ho kya agar hai tu
muqtadir aap har sabab ka hai
is liye ho gaya bashar hai tu
KHair-o-shar ke hijab mein kab tak
zulmat-e-kufr ka sahar hai tu
teri hi shan-e-kul huwaida hai
banda kahta hai kyun kidhar hai tu
aap har shai mein jalwa-farma hain
be-KHabar kya hai ba-KHabar hai tu
mujh pe ilzam aa nahin sakta
har tarah se idhar udhar hai tu
koi kuchh qalb kya kare tujh ko
be-ghul-o-ghash wo saf zar hai tu
kah raha hai hamesha inni ana
jumla aama ka rahbar hai tu
jo hai manzur ho raha wahi
kis natije ka muntazar hai tu
bil-yaqin haq ki shan hai teri
muKHtasar ye hai muKHtasar hai tu
nam tera KHuda-numa hai hijab
dida-e-did ka basar hai tu
koi pata nahin tujhe 'markaz'
du-ba-du aap jalwa-gar hai tu
(1028) Peoples Rate This