Ajab Bhul O Hairat Jo MaKHluq Ko Hai
ajab bhul o hairat jo maKHluq ko hai
KHuda ki talab shirk ki justuju hai
sharab-e-mohabbat mein maKHmur hun main
piyala bhara hai mulabbab subu hai
pata ek ka do mein kyun kar milega
jo kasrat fana ho to KHud tu hi tu hai
nahin ghair koi tashaKHKHus ka parda
man-o-tu faqat ghair ki guftugu hai
hai KHud aap maujud har yak sifat se
judai nahin is mein kuchh mu-ba-mu hai
sifat bast-o-qabiz ki tuKHm-o-shajar hai
jo bu hai so gul hai jo gul hai so bu hai
wo pir-e-tariqat hai kaamil usi ko
KHuda is ke har aan mein ru-ba-ru hai
wajud ek hai surat us ki mughayyar
hai jalwa usi ka na main aur tu hai
tu 'markaz' hai aalam mein paida-o-zahir
banaya banata hai jo kuchh ki tu hai
(934) Peoples Rate This