Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_026dbe015eb290132bb5942d1d471227, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aashiqi Ke Aashkare Ho Chuke - Yasin Ali Khan Markaz Poetry In English - Darsaal

Aashiqi Ke Aashkare Ho Chuke

aashiqi ke aashkare ho chuke

husn-e-yakta ke pukare ho chuke

uTh gaya parda jo fi-mabain tha

mann-o-tu ke the ishaare ho chuke

hai bahaar-e-gulshan-e-duniya do roz

bulbul-o-gul ke nazare ho chuke

chal diye uTh kar jahan chahe wahan

ek rangi ke sahaare ho chuke

yas se kah denge waqt-e-qatl hum

hum to ai pyare tumhaare ho chuke

wasil-e-dariya jo qatra ho gaya

ghairiyat ke the pukare ho chuke

gulshan-e-hasti mein dekhi thi bahaar

auj par jo the sitare ho chuke

warta-e-dariya ka gham jata raha

ghota khate the kinare ho chuke

nek-o-bad se tum ko 'markaz' kya gharaz

dur dushman the tumhaare ho chuke

(1073) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashiqi Ke Aashkare Ho Chuke In English By Famous Poet Yasin Ali Khan Markaz. Aashiqi Ke Aashkare Ho Chuke is written by Yasin Ali Khan Markaz. Read famous Poem Aashiqi Ke Aashkare Ho Chuke for youth and Student by Yasin Ali Khan Markaz. Free Download Aashiqi Ke Aashkare Ho Chuke in PDF.