Aapko Bhul Ke Main Yaad-e-KHuda Karta Hun
aap ko bhul ke main yaad-e-KHuda karta hun
KHud ana kahta hun maujud baqa karta hun
kufr-o-islam ka mujid hua banda ho kar
phir wo main kaun hun jo KHud hun kaha karta hun
ilm-e-adad se hota hai hijab-e-akbar
ek har haal mein hun kul mein raha karta hun
hun basarat mein nihan uzr hai binai ka
roz-e-raushan mein hi KHud aap raha karta hun
be-samajh nam KHuda ka wo liya karte hain
puchhta hun to ye kahte hain suna karta hun
jism-e-KHaki na samajh yar ka bas jalwa hai
yaad aur bhul se main dil ko ziya karta hun
main samajhta hun KHuda aap ko banda ban kar
han isi shan ka 'markaz' hun kaha karta hun
(983) Peoples Rate This