Talluq Us Se Agarche Mera KHarab Raha
talluq us se agarche mera KHarab raha
qasam safar ki wahi ek ham-rikab raha
samajh saka na use main qusur mera hai
ki mere samne to wo khuli kitab raha
main ek lafz bhi lekin na paDh saka us ko
agarche wo bhi mera shamil-e-nisab raha
main marifat ke hun ab us maqam par ki jahan
kiya gunah bhi to KHadsha-e-sawab raha
haqiqaton se mafar chahi thi 'yashab' main ne
par asl asl raha aur KHwab KHwab raha
(954) Peoples Rate This