Dard Ki Lahar Thi Guzar Bhi Gai
dard ki lahar thi guzar bhi gai
us ke hamrah chashm-e-tar bhi gai
ek talluq sa tha so KHatm hua
baat thi zehn se utar bhi gai
hum abhi soch hi mein baiThe hain
aur wo aankh kaam kar bhi gai
hijr se kam na thi visal ki rut
aai bechain si guzar bhi gai
zabt ka hausla bahut tha magar
us ne puchha to aankh bhar bhi gai
(982) Peoples Rate This