Karam Nahin To Sitam Hi Sahi Rawa Rakhna
karam nahin to sitam hi sahi rawa rakhna
talluqat wo jaise bhi hon sada rakhna
kuchh is tarah ki hidayat mili hai ab ke mujhe
ki sar pe qahr bhi TuTen to dil baDa rakhna
na aansuon ki rawan nahr aankh se karna
ab us ki yaad bhi aae to hausla rakhna
kise mila hai milega kise murad ka phal
so ghaebana nawazish ki aas kya rakhna
ajab nahin ki warud-e-habib ho jae
zamana tang-nazar hai to dil khula rakhna
jo dosti ke liye be-qarar rahta hai
wo koi chaal na chal jae phir pata rakhna
sitara arsh se TuTega ek farsh ki samt
tum apna ghar dar-o-diwar tak saja rakhna
wafa-shiar bhi qudrat tha ruThne wala
rawayatan bhi na nam is ka bewafa rakhna
(1090) Peoples Rate This