Zehn Ka Kuchh Muntashir To Haal Ka KHasta Raha
zehn ka kuchh muntashir to haal ka KHasta raha
kitna meri zat se wo shaKHs wabasta raha
subh-e-kazib raushni ke jal mein aane lagi
sim-gun suraj ujale par kamar-basta raha
dekhne mein kuchh hun main mahsus karne mein hun kuchh
chashm-e-bina par mera ye raaz sar-basta raha
apne zindan se nikalna apni taqat mein nahin
har bashar apne liye zanjir pa-basta raha
pursish-e-gham mein na mujh se hi mahz ujlat hui
us ki aankhon ka chhalak paDna bhi barjasta raha
apne andar ki KHalish ka kar liya main ne ilaj
mere dil mein dusron ka dard paiwasta raha
ya masail se taqabul zindagi se ya farar
bach nikalne ka wahan se ek hi rasta raha
(928) Peoples Rate This