Palkon Pe Ruka Qatra-e-muztar Ki Tarah Hun

palkon pe ruka qatra-e-muztar ki tarah hun

bahar se bhi bechain main andar ki tarah hun

bahar se mere jism ki diwar khaDi hai

andar se main ek TuTe hue ghar ki tarah hun

nazron se gira do ki mujhe dewta mano

patthar ke tarashe hue paikar ki tarah hun

chhai hain mere sar pe siyah-posh ghaTaen

main subh mein bhi sham ke manzar ki tarah hun

andar ki chaTanon se na Takra ke bikhar jaun

main biphra hua KHud pe samundar ki tarah hun

tum jalwa-numa ho to khuli hain meri aankhen

aa lipTo badan se to main chadar ki tarah hun

rahta hai kahin jism bhaTakti hai kahin ruh

ghar mein hun magar aaj main be-ghar ki tarah hun

aqdar ki uThti hui diwar mein chun lo

raste mein paDa main kisi patthar ki tarah hun

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Palkon Pe Ruka Qatra-e-muztar Ki Tarah Hun In English By Famous Poet Yaseen Afzal. Palkon Pe Ruka Qatra-e-muztar Ki Tarah Hun is written by Yaseen Afzal. Read famous Poem Palkon Pe Ruka Qatra-e-muztar Ki Tarah Hun for youth and Student by Yaseen Afzal. Free Download Palkon Pe Ruka Qatra-e-muztar Ki Tarah Hun in PDF.