Wo Kaun Se KHatre Hain Jo Gulshan Mein Nahin Hain
wo kaun se KHatre hain jo gulshan mein nahin hain
hum maut ke munh mein hain nasheman mein nahin hain
ye jashn-e-tarab aur ye be-rangi-e-mahfil
do phul bhi kya waqt ke daman mein nahin hain
chhup chhup ke kise barq-e-hawas DhunDh rahi hai
ginti ke wo KHoshe bhi to KHirman mein nahin hain
imroz ke dikhte hue dil ki main sada hun
diroz ke nauhe mere shewan mein nahin hain
chaak-e-jigar ai dast-e-karam si to raha hai
girhen to kahin rishta-e-sozan mein nahin hain
majbur ab itna bhi asiron ko na samjho
aise bhi hain kuchh tauq jo gardan mein nahin hain
rang-e-nigah-e-shauq bhare kaun chaman mein
tinke bhi to 'yaqub' nasheman mein nahin hain
(956) Peoples Rate This