Umangon Mein Wahi Josh-e-tamanna-zad Baqi Hai
umangon mein wahi josh-e-tamanna-zad baqi hai
abhi dil mein KHuda rakkhe kisi ki yaad baqi hai
sar-e-manzil fareb-e-rahnuma ka toD mushkil tha
ghanimat hai ki shauq-e-marhala-ijad baqi hai
hansi aati hai tere is ghurur-e-dam-dari par
koi phanda bhi sabit aaj ai sayyaad baqi hai
sahar ne aa ke chehra waqt ka dhoya to kya dhoya
fazaon par ghubar-e-KHatir-e-nashad baqi hai
tabahi gherne wali thi aaKHir kin safinon ko
tah-e-girdab shor-e-har-che baada-baad baqi hai
abhi se bandh gai hichki chaman-afroz kaliyon ki
abhi to dastan-e-nighat-e-barbaad baqi hai
zaban-e-waqt kal se ek naya afsana chheDegi
bahut thoDi si 'yaqub' aaj ki rudad baqi hai
(1077) Peoples Rate This