Tufan Ki Zad Pe Apna Safina Jab Aa Gaya
tufan ki zad pe apna safina jab aa gaya
sahil ko mauj mauj ko sahil bana gaya
munh takte takte thak gain hirman-nasibiyan
har inqalab-e-shauq ki himmat baDha gaya
zauq-e-nazar ki jurat bebak al-aman
rang-e-hayat ban ke fazaon pe chha gaya
tharra ke sham-e-anjuman-e-aish bujh gai
nairang-e-nur-e-subh-o-manzar dikha gaya
ijz-e-rah-e-niyaz ke qurban jaiye
naqsh-e-qadam ko naqsh-e-tamanna bana gaya
itna karam bhi jabr-e-mohabbat ka kam nahin
ghuT ghuT ke marne walon ko jina sikha gaya
shoale se kyun lapakte hain gulshan se bar bar
'yaqub' kya bahaar ka mausam phir aa gaya
(983) Peoples Rate This