Shauq Ki Kam-nigahi Bhi Hai Gawara Mujhko
shauq ki kam-nigahi bhi hai gawara mujh ko
gham to gham aaj KHushi bhi hai gawara mujh ko
justuju sath hai sham-e-rah-e-manzil ban kar
apni be-rah-rawi bhi hai gawara mujh ko
lazzat-e-zist ba-har-taur sabhi ko hai aziz
zahr-e-mina-e-KHudi bhi hai gawara mujh ko
sozan-e-rahm-o-karam karti hai kyun sai-e-rafu
chaak-daman-e-tahi bhi hai gawara mujh ko
aap lillah na farmaen ziyaada zahmat
ab tawajjoh ki kami bhi hai gawara mujh ko
sirf tar-damani-e-dil hi pe israr nahin
chashm-e-pur-nam ki kami bhi hai gawara mujh ko
jurat-e-arz-e-tamanna se hun bad-zan 'yaqub'
zabt ki kam-suKHani bhi hai gawara mujh ko
(861) Peoples Rate This