Sabr KHud Ukta Gaya Achchha Hua
sabr KHud ukta gaya achchha hua
kuchh to bojh ehsas ka halka hua
wo ghurur-e-hosh-mandi kya hua
jo qadam paDta hai wo bahka hua
chheD baiTha waqt apni ragni
saz par jab aap ka qabza hua
tak raha hai KHud unhi ki anjuman
fitna fitna un ka chaunkaya hua
rup badla hai sahar ka raat ne
dekhne walo tumhein dhoka hua
kar rahe ho kis se tum zikr-e-chaman
ghuncha ghuncha hai mera dekha hua
aap kaj-rau hain ki sab kaj-fahm hain
hal baDi mushkil se ye uqda hua
maslahat 'yaqub' kyun hai dam-ba-KHud
raaz kis ki bazm ka ifsha hua
(1179) Peoples Rate This