Main Chahun Bhi To Zabt-e-guftugu Main La Nahin Sakta
main chahun bhi to zabt-e-guftugu main la nahin sakta
samajhne par bhi dil ka muddaa samjha nahin sakta
bhala aisi tahi-daman tamannaon se kya hasil
bahalne par dil aamada hai aur bahla nahin sakta
KHuda mahfuz rakkhe KHauf-e-aseb-e-asiri se
main gulshan mein bhi aazadi ka naghma ga nahin sakta
rag-e-gul se bhi nazuk-tar hain tinke aashiyane ke
inhen gulchin har andaz-e-nawazish bha nahin sakta
bhara jaega kab tak KHun-e-mazi nabz-e-farda mein
ab is pahlu pe nazm-e-qalb-e-geti aa nahin sakta
kise fitna samajh kar apni mahfil se uThata hai
zamir-e-amn is dhoke mein nadan aa nahin sakta
sahab-e-fikr bhi 'yaqub' paband-e-faza nikla
chaman ki KHak par rang-e-suKHan barsa nahin sakta
(1074) Peoples Rate This