Ru-ba-ru But Ke Dua Ki Bhul Ho Jae To Phir
ru-ba-ru but ke dua ki bhul ho jae to phir
aur phir wo hi dua maqbul ho jae to phir
main baDhaun hath jis kanTe ki jaanib shauq se
hath mein aa kar wo kanTa phul ho jae to phir
baadbanon par hawa ho mehrban aur dafatan
TukDe TukDe naw ka mastul ho jae to phir
nafraten be-zariyan bughz-o-tassub dushmani
zindagi ka bas yahi mamul ho jae to phir
qatilon ko kar diya jae bari ilzam se
wajib-e-tazir KHud maqtul ho jae to phir
lamha lamha manzilen hoti chali jaen baid
aur qismat raste ki dhul ho jae to phir
haal-e-dil apna bayan karne ki KHwahish hai magar
kuchh tawajjoh aap ki mabzul ho jae to phir
(972) Peoples Rate This