Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ff0cc5fd62db3598a59da21b1b4486d5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Ek Gam Pe Ek But Banana Chaha Hai - Yaqoob Tasawwur Poetry In English - Darsaal

Har Ek Gam Pe Ek But Banana Chaha Hai

har ek gam pe ek but banana chaha hai

jise bhi chaha bahut kafirana chaha hai

hazar qism ke ilzam aur KHamoshi

talluqat ko yun bhi nibhana chaha hai

girae jaane lage hain daraKHt har jaanib

ki main ne shaKH pe ek aashiyana chaha hai

hai kyun adawat-e-aghyar hi ka zikr yahan

chaman to ahl-e-chaman ne jalana chaha hai

hisar-e-nafrat-e-daur-e-jadid mein dil ne

mohabbaton ka purana zamana chaha hai

KHudaya dasht-nawardi ka shauq hai kis ko

musafiron ne faqat aab-o-dana chaha hai

chaman mein phul 'tasawwur' khilen har ek jaanib

isi sabab se to sahra basana chaha hai

(892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Gam Pe Ek But Banana Chaha Hai In English By Famous Poet Yaqoob Tasawwur. Har Ek Gam Pe Ek But Banana Chaha Hai is written by Yaqoob Tasawwur. Read famous Poem Har Ek Gam Pe Ek But Banana Chaha Hai for youth and Student by Yaqoob Tasawwur. Free Download Har Ek Gam Pe Ek But Banana Chaha Hai in PDF.