Tha Us Ka Jaisa Amal Wo Hi Yar Main Bhi Karun
tha us ka jaisa amal wo hi yar main bhi karun
rida-e-waqt ko kya dagh-dar mein bhi karun
muaf mujh ko na karna kisi bhi surat se
zamane tujh ko agar ashk-bar main bhi karun
mile jo mujh ko bhi fursat gham-e-zamana se
kisi ke samne zikr-e-bahaar main bhi karun
jo Dale rahte hain chehron pe maslahat ki naqab
kya aise logon mein tera shumar main bhi karun
KHuda kare ki tujhe wo maqam bhi ho nasib
jahan pahunch ke tera eatibar mein bhi karun
saliqa mujh ko jo aa jae sher kahne ka
ki ghazal-e-'mir' se naqsh-o-nigar main bhi karun
(840) Peoples Rate This