Na Chaaragar Na Masiha Na Rahbar Tha Main
na chaaragar na masiha na rahbar tha main
nazar mein phir bhi zamane ki mo'atabar tha main
ana pe harf na aa jae haq-paraston ki
uThae apne hi neze pe apna sar tha main
sawal ye nahin kis ne kiya tha qatl mujhe
sawal ye hai ki kyun KHud se be-KHabar tha main
jo subh-e-nau ka asiri mein de raha tha payam
wo inqilab-e-zamana ka nama-bar tha main
sukun-e-dil bhi mila aablon ki lazzat bhi
tumhaare sath safar mein jo ham-safar tha main
hue the past hawaon ke hausle 'arif'
jab apne khole fazaon mein baal-o-par tha main
(885) Peoples Rate This