Ye Humne Mana Ki Hoga Visal-e-yar Nasib

ye hum ne mana ki hoga visal-e-yar nasib

dil-e-hazin ko magar hai kahan qarar nasib

ye apna apna muqaddar hai aur kya kahiye

KHizan nasib koi hai koi bahaar nasib

koi to ek nazar ke liye tarasta hai

kisi ko hota hai didar bar bar nasib

na aarzu teri karte na aabru khote

KHud apne dil pe agar hota iKHtiyar nasib

suna to hai tera didar ek din hoga

isi ummid pe baiThe hain intizar nasib

samajh sakega wo kya mere dil ki betabi

hua na jis ko kabhi soz-e-ishq yar nasib

jahan mein aur bhi 'asi' alam ke mare hain

yahan pe tu hi nahin ek sogwar-nasib

(966) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Humne Mana Ki Hoga Visal-e-yar Nasib In English By Famous Poet Yaqoob Ali Aasi. Ye Humne Mana Ki Hoga Visal-e-yar Nasib is written by Yaqoob Ali Aasi. Read famous Poem Ye Humne Mana Ki Hoga Visal-e-yar Nasib for youth and Student by Yaqoob Ali Aasi. Free Download Ye Humne Mana Ki Hoga Visal-e-yar Nasib in PDF.