Dagh-ha-e-dil Ki Tabani Gai
dagh-ha-e-dil ki tabani gai
un ke jalwon ki farawani gai
aashna na-ashna se ho gae
apni surat bhi na pahchani gai
ek dil mein saikDon gham ka hujum
phir bhi us ghar ki na virani gai
ab kahan wo jazba-e-mahr-o-wafa
aadmi se KHu-e-insani gai
aaine mein waqt ke ai ham-nafas
doston ki shakl pahchani gai
rah gae hosh-o-KHirad ke falsafe
justuju ta-hadd-e-imkani gai
'mir'-o-'ghaalib' 'wahshat'-o-'dagh'-o-'jigar'
kya gae 'asi' ghazal-KHwani gai
(909) Peoples Rate This