Nazron Mein Kahan Uski Wo Pahla Sa Raha Main
nazron mein kahan us ki wo pahla sa raha main
hansta hun ki kya soch ke karta tha wafa main
tu kaun hai ai zehn ki dastak ye bata de
har bar ki aawaz pe deta hun sada main
yaad aata hai bachpan mein bhi ustad ne mere
jis rah se roka tha wahi rah chala main
ji KHush hua dekhe se ki aazad faza hai
basti se guzarta hua sahra mein ruka main
muddat hui dekhe hue wo shahr-e-nigaran
ai dil kahin bhula to nahin teri ada main
manzil ki talab mein na tha aasan guzarna
patthar the bahut rah mein gir gir ke uTha main
kya din hain ki ab maut ki KHwahish hai barabar
kya din the ki jab jine ki karta tha dua main
sach kahiyo ki waqif ho mere haal se 'amir'
duniya hai KHafa mujh se ki duniya se KHafa main
(980) Peoples Rate This