Na Puchho Zist-fasana Tamam Hone Tak
na puchho zist-fasana tamam hone tak
duaon tak thi sahar aur sham rone tak
mujhe bhi KHud na tha ehsas apne hone ka
teri nigah mein apna maqam khone tak
har ek shaKHs hai jab gosht nochne wala
bachega kaun yahan nek-nam hone tak
chahaar samt se rahzan kuchh is tarah TuTe
ki jaise fasl ka tha ehtimam bone tak
bata raha hai abhi tak tera dhula daman
ki dagh bhi hain numayan tamam dhone tak
hazar rang-e-tamanna hazar pachhtawe
ajab tha zehn mein ek izhdiham sone tak
suna hai hum ne bhi aazad tha kabhi 'amir'
kisi ki chah ka lekin ghulam hone tak
(924) Peoples Rate This