Kya Hua Humse Jo Duniya Bad-guman Hone Lagi
kya hua hum se jo duniya bad-guman hone lagi
apni hasti aur bhi nazdik-e-jaan hone lagi
dhire dhire sar mein aa kar bhar gaya barson ka shor
rafta rafta aarzu-e-dil dhuan hone lagi
bagh se aae ho mera ghar bhi chal kar dekh lo
ab bahaaron ke dinon mein bhi KHizan hone lagi
chand logon ki faraghat shahr ka chehra nahin
ye haqiqat sab ke chehron se ayan hone lagi
yaad hai ab tak kisi ke sath ek sham-e-visal
phir wo raaten jab dam-e-ruKHsat azan hone lagi
baad-e-nafrat phir mohabbat ko zaban darkar hai
phir aziz-e-jaan wahi urdu zaban hone lagi
zikr tufan-e-hawadis ka chhiDa jo ek din
hote hote dastan meri bayan hone lagi
saKHt manzil kaT kar hum jab hue kuchh sust-pa
tez-rau kuchh aur bhi umr-e-rawan hone lagi
chhu rahi hai aasmanon ki bulandi phir nazar
phir hamari zindagi anjum-nishan hone lagi
lo yaqin aaya ki dil ke dard ki tasir hai
ab to ek ek chiz hum se ham-zaban hone lagi
ghar ki mehnat se meri raushan hue aiwan-e-zar
raushni honi kahan thi aur kahan hone lagi
sach kahun 'amir' ki ab us daur mein jite ho tum
rasm-e-ulfat bhi jahan sud o ziyan hone lagi
(1561) Peoples Rate This