Ek KHala Sa Hai Jidhar Dekho Idhar Kuchh Bhi Nahin
ek KHala sa hai jidhar dekho idhar kuchh bhi nahin
aasman kaun-o-makan diwar-o-dar kuchh bhi nahin
baDhta jata hai andhera jaise jadu ho koi
koi paDh lije dua lekin asar kuchh bhi nahin
jism par hai kaun se ifrit ka saya sawar
bhagta hai sar se dhaD jaise ki sar kuchh bhi nahin
har naya rasta nikalta hai jo manzil ke liye
hum se kahta hai purani rahguzar kuchh bhi nahin
ehtimam-e-zindagi se hain ye sab naqsh o nigar
warna ghar kuchh bhi nahin diwar-o-dar kuchh bhi nahin
ghar mein apne sath jab rakkhoge 'amir' dekhna
jis ko tum kahte ho ab rashk-e-qamar kuchh bhi nahin
(903) Peoples Rate This