Chand GhanTe Shor O Ghul Ki Zindagi Chaaron Taraf
chand ghanTe shor o ghul ki zindagi chaaron taraf
aur phir tanhai ki ham-saegi chaaron taraf
ghar mein sari raat be-awaz hangama na puchh
main akela nind ghaeb barhami chaaron taraf
dekhne nikla hun apna shahr jangal ki tarah
dur tak phaila hua hai aadmi chaaron taraf
mere darwaze pe ab taKHti hai mere nam ki
ab na bhaTkegi meri aawargi chaaron taraf
mere ghar mein hi raha ta-umr mera waqia
apni apni warna arz-e-waqai chaaron taraf
chandni raaton ki basti mein hun main sahma hua
KHauf se lipTi hui hai raushni chaaron taraf
hai koi chehra shanasa DhunDta hun bhiD mein
itni raunaq mein bhi ek be-raunaqi chaaron taraf
pahle meri baat hans kar Tal bhi dete the wo
lekin ab tasdiq meri baat ki chaaron taraf
bazm mein yun to sabhi the phir bhi 'amir' der tak
tere jaane se rahi ek KHamushi chaaron taraf
(992) Peoples Rate This