Misr Mein Husn Ki Wo Garmi-e-bazar Kahan
misr mein husn ki wo garmi-e-bazar kahan
jins to hai pe zuleKHa sa KHaridar kahan
faiz hota hai makin par na makan par nazil
hai wahi tur wale shola-e-didar kahan
aish o rahat ke talashi hain ye sare bedard
ek hum ko hai yahi fikr ki aazar kahan
ishq agar kijiye dil kijiye kis se KHali
dard o gham kam nahin is daur mein gham-KHwar kahan
qaidi us silsila-e-zulf ke ab kam hain 'yaqin'
hain dil-azar bahut jaan-giraftar kahan
(1350) Peoples Rate This