Bahaar Aai Hai Kya Kya Chaak Jaib-e-pairahan Karte
bahaar aai hai kya kya chaak jaib-e-pairahan karte
jo hum bhi chhuT jate ab to kya diwana-pan karte
tasawwur us dahan-e-tang ka ruKHsat nahin deta
jo Tuk dam mar sakte hum to kuchh fikr-e-suKHan karte
nahin jun panja-e-gul kuchh bhi in hathon mein girai
wagarna ye gareban nazr-e-KHuban-e-chaman karte
musafir ho ke aae hain jahan mein tis pe wahshat hai
qayamat thi agar hum is KHaraba mein watan karte
koi farhad jaise be-zaban ko qatl karta hai
'yaqin' hum wan agar hote to ik-do bachan karte
(931) Peoples Rate This