KHuda Gawah
KHuda gawah dil ek lamha bhi nahin ghafil
tumhaari yaad bhi baqi hai dukh bhi baqi hai
wo sham-e-gham bhi usi tarah dil pe qaem hai
wo roz-e-saKHt bhi sine mein dard ban kar hai
jab ek hamla-e-dil tum pe zulm karta tha
azim shahr ke markaz mein ek udas sa ghar
ilaj se mahrum
tumhaare dukh mein taDapne ko dekh kar chup tha
to sare shahi mahallat shor-e-aish mein the
mujhe to falsafa-e-sabr bhi gawara hai
(agarche asl mein ye qatilon ki mantiq hai)
magar ye falsafa us dil ko kaun samjhae
jo teri yaad ke gham ko KHuda samajhta hai
agar gae hue ek lamha muD ke aa sakte
fana ke baad dobara hayat agar hoti
to main zarur lipaT kar tumhaare sine se
tamam qissa-e-gham aansuon mein barsata
magar mujhe to KHabar hai ki ye nahin mumkin
isi liye mere dil mein alam bhi baqi hai
teri gihad-e-musalsal si zindagi ki kitab
meri hayat ke ek ek waraq pe likkhi hai
jo tu ne rah mein chhoDa tha parcham-e-tag-o-dau
harif kuchh bhi kahen aaj mere hath mein hai
qarar-e-KHatir-e-mahzun agar koi shai hai
to usi ka KHayal!
(904) Peoples Rate This