Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_h9b9p3oebj6o05811b9l76ed37, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zamana KHuda Ko KHuda Jaanta Hai - Yagana Changezi Poetry In English - Darsaal

Zamana KHuda Ko KHuda Jaanta Hai

zamana KHuda ko KHuda jaanta hai

yahi jaanta hai to kya jaanta hai

isi mein dil apna bhala jaanta hai

ki ek naKHuda ko KHuda jaanta hai

wo kyun sar khapae teri justuju mein

jo anjam-e-fikr-e-rasa jaanta hai

KHuda aise bande se kyun phir na jae

jo baiTha dua mangna jaanta hai

zahe sahw-e-katib ki sara zamana

mujhi ko sarapa KHata jaanta hai

anokha gunahgar ye sada insan

nawishte ko apna kiya jaanta hai

'yagana' tu hi jaane apni haqiqat

tujhe kaun tere siwa jaanta hai

(1008) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamana KHuda Ko KHuda Jaanta Hai In English By Famous Poet Yagana Changezi. Zamana KHuda Ko KHuda Jaanta Hai is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Zamana KHuda Ko KHuda Jaanta Hai for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Zamana KHuda Ko KHuda Jaanta Hai in PDF.