Yaksan Kabhi Kisi Ki Na Guzri Zamane Mein
yaksan kabhi kisi ki na guzri zamane mein
yaadash-ba-KHair baiThe the kal aashiyane mein
sadme diye to sabr ki daulat bhi dega wo
kis chiz ki kami hai saKHi ke KHazane mein
ghurbat ki maut bhi sabab-e-zikr-e-KHair hai
gar hum nahin to nam rahega zamane mein
dam bhar mein ab mariz ka qissa tamam hai
kyunkar kahun ye raat kaTegi fasane mein
saqi main dekhta hun zamin aasman ka farq
arsh-e-barin mein aur tere aastane mein
diwaren phand-phand ke diwane chal base
KHak uD rahi hai chaar taraf qaid-KHane mein
sayyaad is asiri pe sau jaan se main fida
dil-bastagi qafas ki kahan aashiyane mein
hum aise bad-nasib ki ab tak na mar gae
aankhon ke aage aag lagi aashiyane mein
diwane ban ke un ke gale se lipaT bhi jao
kaam apna kar lo 'yas' bahane-bahane mein
(1140) Peoples Rate This