Wahshat Thi Hum The Saya-e-diwar-e-yar Tha
wahshat thi hum the saya-e-diwar-e-yar tha
ya ye kaho ki sar pe koi jin sawar tha
bigDa chaman mein kal tere wahshi ka jab mizaj
jhonka nasim ka bhi use nagawar tha
lale ka dagh dekh ke chitwan badal gai
tewar se saf raaz-e-junun aashkar tha
pahle to aankhen phaD ke dekha idhar-udhar
daman phir ek ishaare mein bas tar-tar tha
allah re toD nichi nigahon ke tir ka
uf bhi na karne pae the aur dil ke par tha
nairang-e-husn o ishq ki wo aaKHiri bahaar
turbat thi meri aur koi ashk-bar tha
jhuk-jhuk ke dekhta hai falak aaj tak use
jis sarzamin pe mera nishan-e-mazar tha
sahil ke pas 'yas' ne himmat bhi haar di
kuchh hath panw marta zalim to par tha
(978) Peoples Rate This