Udasi Chha Gai Chehre Pe Sham-e-mahfil Ke
udasi chha gai chehre pe sham-e-mahfil ke
nasim-e-subh se shole bhaDak uThe dil ke
sharik-e-haal nahin hai koi to kya parwa
dalil-e-rah-e-mohabbat hain walwale dil ke
ajab nahin ki bapa ho yahin se fitna-e-hashr
zamane bhar mein hain sare fasad isi dil ke
na sang-e-mil na naqsh-e-qadam na bang-e-jaras
bhaTak na jaen musafir adam ki manzil ke
KHushi ke mare zamin par qadam nahin rakhte
jab aae qafile wale qarib manzil ke
nazara-e-ruKH-e-laila mubarak ai majnun
nigah-e-shauq ne parde uThae mahmil ke
mushahide ko ek aaina-e-jamal diya
kamal-e-ishq ne jauhar dikha diye dil ke
zaban-e-'yas' se afsana-e-sahar suniye
wo rona shama ka parwanon se gale mil ke
(1159) Peoples Rate This