Thokaren Khilwain Kya-kya Pa-e-be-zanjir Ne
Thokaren khilwain kya-kya pa-e-be-zanjir ne
gardish-e-taqdir ne jaulani-e-tadbir ne
aalam-e-asbab se kya faiz-e-nakaami mila
rah par la kar mujhe bhaTka diya taqdir ne
karwan kitne bagule ban ke ghaeb ho gae
KHak se yaksan kiya jaulan-e-gah-e-tadbir ne
baz aae zindagi ke KHwab-e-ranga-rang se
dast o pa gum kar diye andesha-e-tabir ne
dad-KHwahi ko uTha hai zarra-e-pamal tak
sote fitnon ko jagaya hashr-e-alam-gir ne
matam-e-hasrat kiya pahle gareban phaD kar
phir dua di dushmanon ko dast-e-be-shamshir ne
jaan de kar ek hukm-e-aKHiri mana to kya
likh diya jab sarkashon mein katib-e-taqdir ne
wah kya kahna mujassam kar diya mauhum ko
naqsh-bandan-e-azal ki shoKHi-e-tahrir ne
jam gai gard-e-fana aisi ki chhuTne ki nahin
kis ghazab ka rang pakDa 'yas' ki taswir ne
(1026) Peoples Rate This