Salamat Rahen Dil Mein Ghar Karne Wale
salamat rahen dil mein ghar karne wale
is ujDe makan mein basar karne wale
gale par chhuri kyun nahin pher dete
asiron ko be-baal-o-par karne wale
andhere ujale kahin to milenge
watan se hamein dar-ba-dar karne wale
gareban mein munh Dal kar KHud to dekhen
burai pe meri nazar karne wale
is aaina-KHane mein kya sar uThate
haqiqat par apni nazar karne wale
bahaar-e-do-roza se dil kya bahalta
KHabar kar chuke the KHabar karne wale
khaDe hain do-rahe pe dair o haram ke
teri justuju mein safar karne wale
sar-e-sham gul ho gai sham-e-baalin
salamat hain ab tak sahar karne wale
kuja sehn-e-alam kuja kunj-e-marqad
basar kar rahe hain basar karne wale
'yagana' wahi fateh-e-lakhknau hain
dil-e-sang-o-ahan mein ghar karne wale
(1433) Peoples Rate This