Raushan Tamam Kaba O But-KHana Ho Gaya
raushan tamam kaba o but-KHana ho gaya
ghar-ghar jamal-e-yar ka afsana ho gaya
surat-parast kab hue mani se aashna
aalam fareb-e-tur ka afsana ho gaya
chashm-e-hawas hai shefta-e-husn-e-zahiri
dil aashna-e-mani-e-begana ho gaya
aasan nahin hai aag mein danista kudna
diwana shauq-e-wasl mein parwana ho gaya
kaifiyat-e-hayat thi dam bhar ki mehman
labrez pite hi mera paimana ho gaya
ashkon se jam bhar gae saqi ki yaad mein
kuchh to maal-e-majlis-e-rindana ho gaya
dair o haram bhi Dhah gae jab dil nahin raha
sab dekhte hi dekhte virana ho gaya
kal ki hai baat josh pe tha aalam-e-shabab
yaadash-ba-KHair aaj ek afsana ho gaya
aaina dekhta hai gareban ko phaD kar
wahshi ab apna aap hi diwana ho gaya
kya jaane aaj KHwab mein kya dekha 'yas' ne
kyun chaunkte hi aap se begana ho gaya
(975) Peoples Rate This