Qissa Kitab-e-umr Ka Kya MuKHtasar Hua
qissa kitab-e-umr ka kya muKHtasar hua
ruKH dastan-e-gham ka idhar se udhar hua
matam-sara-e-dahr mein kis kis ko roiye
ai wae dard-e-dil na hua dard-e-sar hua
taskin-e-dil ko raaz-e-KHudi puchhta hai kya
kahne ko kah dun aur agar ulTa asar hua
aazad ho saka na giraftar-e-shash-jahat
dil muft banda-e-hawas-e-baal-o-par hua
duniya ke sath din ki begar al-aman
insan aadmi na hua jaanwar hua
farda ka dhyan bandh ke kahta hai mujh se dil
tu meri tarah kyun na wasi-un-nazar hua
farda ko dur hi se hamara salam hai
dil apna sham hi se charagh-e-sahar hua
(1081) Peoples Rate This