KHudi Ka Nashsha ChaDha Aap Mein Raha Na Gaya
KHudi ka nashsha chaDha aap mein raha na gaya
KHuda bane the 'yagana' magar bana na gaya
payam-e-zer-e-lab aisa ki kuchh suna na gaya
ishaara pate hi angDai li raha na gaya
hansi mein wada-e-farda ko Talne walo
lo dekh lo wahi kal aaj ban ke aa na gaya
gunah-e-zinda-dili kahiye ya dil-azari
kisi pe hans liye itna ki phir hansa na gaya
pukarta raha kis kis ko Dubne wala
KHuda the itne magar koi aaDe aa na gaya
samajhte kya the magar sunte the tarana-e-dard
samajh mein aane laga jab to phir suna na gaya
karun to kis se karun dard-e-na-rasa ka gila
ki mujh ko le ke dil-e-dost mein sama na gaya
buton ko dekh ke sab ne KHuda ko pahchana
KHuda ke ghar to koi banda-e-KHuda na gaya
kirshn ka hun pujari ali ka banda hun
'yagana' shan-e-KHuda dekh kar raha na gaya
(1141) Peoples Rate This