Hanuz Zindagi-e-talKH Ka Maza Na Mila
hanuz zindagi-e-talKH ka maza na mila
kamal-e-sabr mila sabr-azma na mila
meri bahaar-e-KHizan jis ke iKHtiyar mein hai
mizaj us dil-e-be-iKHtiyar ka na mila
jawab kya wahi aawaz-e-bazgasht aai
qafas mein nala-e-jaan ka mujhe maza na mila
umid-war-e-rihai qafas-ba-dosh chale
jahan ishaara-e-taufiq ghaebana mila
hawa ke dosh pe jaata hai karwan-e-nafas
adam ki rah mein koi piyaada-pa na mila
hazar hath usi jaanib hai manzil-e-maqsud
dalil-e-rah ka gham kya mila mila na mila
bas ek nuqta-e-farzi ka nam hai kaba
kisi ko markaz-e-tahqiq ka pata na mila
umid-o-bim ne mara mujhe do-rahe par
kahan ke dair o haram ghar ka rasta na mila
KHusha-nasib jise faiz-e-ishq-e-shor-angez
ba-qadr-e-zarf mila zarf se siwa na mila
samajh mein aa gaya jab uzr-e-fitrat-e-majbur
gunahgar-e-azal ko naya bahana mila
ba-juz irada-parasti KHuda ko kya jaane
wo bad-nasib jise baKHt-e-na-rasa na mila
nigah-e-'yas' se sabit hai sai-e-la-hasil
KHuda ka zikr to kya banda-e-KHuda na mila
(707) Peoples Rate This