Duniya Ka Chalan Tark Kiya Bhi Nahin Jata
duniya ka chalan tark kiya bhi nahin jata
is jada-e-baatil se phira bhi nahin jata
zindan-e-musibat se koi nikle to kyunkar
ruswa sar-e-bazar hua bhi nahin jata
dil baad-e-fana bhi hai giran-bar-e-amanat
duniya se subuk-dosh uTha bhi nahin jata
kyun aane lage shahid-e-ismat sar-e-bazar
kya KHak ke parde mein chhupa bhi nahin jata
ek mani-e-be-lafz hai andesha-e-farda
jaise KHat-e-qismat ki paDha bhi nahin jata
(1503) Peoples Rate This