Aap Mein Kyunkar Rahe Koi Ye Saman Dekh Kar
aap mein kyunkar rahe koi ye saman dekh kar
sham-e-ismat ko bhari mahfil mein uryan dekh kar
dil ko bahlate ho kya kya aarzu-e-KHam se
amr-e-na-mumkin mein goya rang-e-imkan dekh kar
kya ajab hai bhul jaen ahl-e-dil apna bhi dard
husn-e-mastana ko aaKHir mein pashiman dekh kar
DhunDte phirte ho ab TuTe hue dil mein panah
dard se KHali dil-e-gabr-o-musalman dekh kar
dil jala kar wadi-e-ghurbat ko raushan kar chale
KHub sujhi jalwa-e-sham-e-ghariban dekh kar
imtiyaz-e-surat-o-mani se begana hua
aaine ko aaina hairan ko hairan dekh kar
pairahan mein kya sama sakta habab-e-jaan-ba-lab
hasti-e-mauhum ka KHwab-e-pareshan dekh kar
sabr karna saKHt mushkil hai taDapna sahl hai
apne bas ka kaam kar leta hun aasan dekh kar
aur kya hoti 'yagana' dard-e-isyan ki dawa
kya ghazal yaad aai wallah fard-e-isyan dekh kar
(1034) Peoples Rate This