Aankh Dikhlane Laga Hai Wo Fusun-saz Mujhe
aankh dikhlane laga hai wo fusun-saz mujhe
kahin ab KHak na chhanwae ye andaz mujhe
kaise hairan the tum aaine mein jab aankh laDi
aaj tak yaad hai is ishq ka aaghaz mujhe
samne aa nahin sakte ki hijab aata hai
parda-e-dil se sunate hain wo aawaz mujhe
tiliyan toD ke nikle sab asiran-e-qafas
magar ab tak na mili ruKHsat-e-parwaz mujhe
par katar de are sayyaad chhuri pherna kya
mar Dalegi yunhi hasrat-e-parwaz mujhe
zer-e-diwar-e-sanam qabr mein sota hun falak
kyun na ho tala-e-bedar par ab naz mujhe
be-dhaDak aae na zindan mein nasim-e-wahshat
mast kar deti hai zanjir ki aawaz mujhe
parda-e-hijr wahi hasti-e-mauhum thi 'yas'
sach hai pahle nahin malum tha ye raaz mujhe
(1047) Peoples Rate This