Unki Raftar Se Dil Ka Ajab Ahwal Hua
un ki raftar se dil ka ajab ahwal hua
rundh gaya pis gaya miTTi hua pamal hua
dasht-e-wahshat ka ilaqa mujhe imsal hua
dagh-e-sauda sifat-e-nayyar-e-iqbaal hua
is bakheDe se ilahi kahin chhuTkara ho
ishq-e-gesu na hua jaan ka janjal hua
nazar-e-lutf na ki tu ne mere rone par
tifl-e-ashk ai mah-e-KHubi na KHush-iqbaal hua
hain wo sufi jo kabhi nala-e-naqus suna
wajd karne lage hum dil ka ajab haal hua
paD gaya un pe mere pech mein lane ka wabaal
kya pareshan tere gesuon ka haal hua
daulat-e-faqr ho ai munimo aur kamli ho
faKHr kya hai jo do-shaala hua rumal hua
apni qismat ka nawishta jo dikhaya hum ne
hashr ke rose ghalat nama-e-amal hua
aasman ne mujhe mahrum-e-shahadat rakkha
tegh-e-qatil ke liye baKHt-e-siyah-e-Dhaal hua
log kahne lage kundan pe chaDhae mina
sabza-e-KHat se wo KHush-rang tera gal hua
tegh-e-husn ai gul-e-tar ho gai KHun-aluda
mujh pe ghusse mein tera munh jo bahut lal hua
tair-e-dil ki liye aap ne sayyaadi ki
rishta-e-dam-e-bala zulf ka har baal hua
la-makan tak kahin Thahra na mera pa-e-KHayal
mazra-e-sabz-e-falak bich mein pamal hua
ai 'saba' aap riayat na karen lafzon ki
zar-e-gul paya jo gulchin ne to kya mal hua
(943) Peoples Rate This