Tum Har Ek Rang Mein Ai Yar Nazar Aate Ho
tum har ek rang mein ai yar nazar aate ho
kahin gul aur kahin KHar nazar aate ho
qabil-e-did tum ai yar nazar aate ho
chashm-e-bad-dur trahdar nazar aate ho
suraten karte ho ai jaan hazaron paida
tum nai shakl se har bar nazar aate ho
bhul jata hun main furqat ke gile aur shikwe
shukr karta hun jab ai yar nazar aate ho
aaina dekhne ko jab nahin milta tum ko
apni tum tishna didar nazar aate ho
kahte ho hum nahin karte hain koi farmaish
jaan tak lene ko tayyar nazar aate ho
KHun kisi aashiq-e-kushta ka chaDha hai sar par
rang lae hue ai yar nazar aate ho
band ho jaen na raste kahin diwanon se
baal khole sar-e-bazar nazar aate ho
rahti hain aaTh pahar aap ko kanghi choTi
apni zulfon mein giraftar nazar aate ho
KHauf se burj mein jallad-e-falak chhupta hai
tum jo bandhe hue talwar nazar aate ho
sumbulistan hain meri jaan sarasar zulfen
ruKH-e-gul-rang se gulzar nazar aate ho
aabru husn ki daulat se mili hai tum ko
rang kundan sa hai zardar nazar aate ho
kya hai be-yar khaTakte ho meri aankhon mein
ai gulo bagh mein tum KHar nazar aate ho
shan hai gesuon se aap mein sardari ki
sabza-e-KHat se numudar nazar aate ho
aise mashuq zamane mein kahan milte hain
pyar karne ke saza-war nazar aate ho
dono gesu pae aashiq hain kamanden dohri
pech mein laoge ayyar nazar aate ho
tap-e-ulfat mein 'saba' hai ye tumhaara darja
diq ke aasar hain bimar nazar aate ho
(1244) Peoples Rate This