Rang Hai Ai Saqi-e-sarshaar Qiasar-bagh Mein
rang hai ai saqi-e-sarshaar qiasar-bagh mein
phul pite hain tere mai-KHwar qiasar-bagh mein
dekh kar rangin tera ruKHsar qaisar-bagh mein
gul se bulbul ho gae bezar qaisar-bagh mein
sath hai ek ghairat-e-gulzar qaisar-bagh mein
bulbulon ko de rahe hain KHar qaisar-bagh mein
baaten bulbul ko suna shaida-e-ruKH gul ko bana
kabk ko chal kar dikha raftar qiasar-bagh mein
surat-e-idris jannat se nikalte hain kahin
ab to laya tala-e-bedar qaisar-bagh mein
shahid-e-gul motiyon mein lad rahe hain aaj-kal
abr-e-tar rahta hai gauhar-bar qaisar-bagh mein
bulbulen gul se KHafa hon qumriyan shamshad se
sair ho chaliye jo aap ai yar qaisar-bagh mein
kis tarah huron ko la kar KHuld se dikhlaiye
kya bahaar aai hai ab ke bar qaisar-bagh mein
dekh paen mere sine ke agar gul-ha-e-dagh
bulbulen hongi gale ka haar qaisar-bagh mein
mausam-e-gul mein yahin josh-e-junun ki hai bahaar
rang la kar aaenge sau bar qaisar-bagh mein
ai sanam allah re jalwa tera hairat-faza
but bane hain sahib-e-zunnar qaisar-bagh mein
wo maraz khoe tabibon ki bhi aankhen khul gain
hai masiha nargis-e-bimar qaisar-bagh mein
KHuld mein aa kar sharab-e-KHuld se bhi ijtinab
jam-e-mai se zahida inkar qaisar-bagh mein
qamat-e-baala ka rutba hai do-baala sarw se
turra hai sumbul pe zulf-e-yar qaisar-bagh mein
daur mein sultan-e-alam ki hain ye kaifiyyaten
ghairat-e-jam hai har ek mai-KHwar qaisar-bagh mein
dekh kar ru-e-musaffa yar ka hairat hui
aaine hain pusht-bar-diwar qiasar-bagh mein
hai pae abr-e-bahaari ye mahall-e-abru
aae zer-e-saya-e-diwar qaisar-bagh mein
dekh kar tere ruKH-e-rangin ko ai rashk-e-bahaar
gul hue hain baghban par bar qaisar-bagh mein
jaiye waqt-e-masihai hai ai ruh-e-rawan
muntazir hai nargis-e-bimar qiasar-bagh mein
tujh se aur gul se hui bahs-e-jamal ai ghuncha-lab
mujh se bulbul se hui takrar qaisar-bagh mein
nikhat-e-gul se 'saba' hum mast rahte hain mudam
baada-e-gul-gun nahin darkar qiasar-bagh mein
(1207) Peoples Rate This