Qabr Par Baad-e-fana Aaiyega
qabr par baad-e-fana aaiyega
be-mahal panw na phailaiyega
lakh ho wasl ka wada lekin
waqt par saf nikal jaiyega
jaen dam bhar ko to farmate hain
chhawni to na kahin chhaiyega
sar hue is ke mulamma se na aap
zulf-e-mushkin se KHata paiyega
na karen aap wafa hum ko kya
bewafa aap hi kahlaiyega
uTh gaya dil se dui ka parda
chhup ke ab aap kahan jaiyega
kahkashan saf banega rasta
aap tausan ko jo chamkaiyega
rang laegi nazakat baDh kar
phul ke bar se pattaiyega
kya karen wasf-e-dahan Darte hain
munh mein jo aaega farmaiyega
zulf ko hath lagaenge jo hum
beDiyan paon mein pahnaiyega
dekhen raghbat se to kahta hai wo shoKH
koi halwa hai ki kha jaiyega
kya kiya ishq ne kyun hazrat-e-dil
hum na kahte the ki pachhtaiyega
aap chalte to hain aTkheliyon se
koi aafat na kahin laiyega
ai 'saba' ishq-e-pari-ruyan mein
aadamiyyat se guzar jaiyega
(970) Peoples Rate This