Mahshar Ka Hamein Kya Gham Isyan Kise Kahte Hain
mahshar ka hamein kya gham isyan kise kahte hain
palle pe wo but hoga mizan kise kahte hain
ushshaq phire dar-dar aiwan kise kahte hain
sar bar raha tan par saman kise kahte hain
wasl-e-but-e-mahru hai sharb-e-mai-e-gulgun hai
phir aur inayat-e-yazdan kise kahte hain
qaidi rahe wahshat mein be-KHud the magar aise
ye bhi na khula hum par zindan kise kahte hain
insan ka bas nafs-e-ammara muKHarrab hai
la-haul wala quwwat shaitan kise kahte hain
mahtab tere aage nikla to nujumi ko
sabit na hua mah-e-taban kise kahte hain
bimar-e-mohabbat hain mar jaen to achchha hai
qurban atibba ke darman kise kahte hain
kyunkar na hansen sun kar haal-e-dil aashiq ko
kamsin hain wo kya jaanen arman kise kahte hain
ai waizo ye baaten achchhi nahin gunjalak ki
koi jo kabhi samjhe iman kise kahte hain
dekhen to KHizar tere aab-e-dam-e-KHanjar ko
malum nahin aab-e-haiwan kise kahte hain
han dast-e-junun sau sau zanjir ki TukDe hon
sansi kise kahte hain sohan kise kahte hain
be-yar ye baadal hain dal sham ki faujon ke
bauchhaar hai tiron ki baran kise kahte hain
hum aap ke ghar aa kar farmaiye jaenge
achchhi rahi lo suniye mehman kise kahte hain
jab dekhte hain gul ko kahte hain wo shoKHi se
roti hui surat hai KHandan kise kahte hain
be-KHud KHalish-e-gham se hote hain to kahte hain
ai dil ye khaTak kya hai mizhgan kise kahte hain
diwar ko zindan ki pathra gae diwane
jis dam ye KHayal aaya maidan kise kahte hain
aaine ke sath apni surat unhen dikhlaen
dekhen to wo dono mein hairan kise kahte hain
shohra hai 'saba' ab to apni bhi fasahat ka
'atish' ke muqallid hain sohban kise kahte hain
(906) Peoples Rate This