Koi Surat Se Gar Safa Ho
koi surat se gar safa ho
aaina-e-dil KHuda-numa ho
masha-allah chashm-e-bad-dur
kya KHub jawan-e-mah-laqa ho
munsif hon shaiKH-o-gabr dil mein
qissa chuk jae faisla ho
dozaKH ko bhi mat kar diya hai
ai sozish-e-dil tera bura ho
masnad kaisi faqir hun main
thoDi si jagah ho boriya ho
kahte hain wo mere dekhne par
dekho koi na dekhta ho
malum hain waizon ki baaten
us se kahen jo na jaanta ho
yaro samjhao us sanam ko
kaise tum banda-e-KHuda ho
gulchin mumkin hai phul toDe
bulbul nala bhi jaanta ho
kis se milta hai dekh ai dil
ghafil aisa na ho dagha ho
sun le kabhi mujh faqir ki bhi
allah kare tera bhala ho
ye haal hai naqd-e-dil ko kho kar
jaise koi luTa hua ho
ulTi ulTi na kyun hon baaten
TeDhi TeDhi hai KHafa KHafa ho
banda bahar kabhi nahin hai
jab chahe ajal ka samna ho
allah kare nama-e-amal par
tera naqsha khincha hua ho
ai yar kabhi to kaam aao
itni muddat ki aashna ho
abru se chashm se nigah se
aafat ho qahr ho bala ho
kab se ummid-o-bim mein hain
jo kuchh hona ho ya KHuda ho
kuchh rahm bhi hai KHuda KHuda kar
bande se sabr ta kuja ho
paDhte ho 'saba' buton ka kalima
kahne ko banda-e-KHuda ho
(1174) Peoples Rate This