Kis Munh Se Kahen Gunah Kya Hain
kis munh se kahen gunah kya hain
tauba hai ru-siyah kya hain
allah hai afw karne wala
main kya hun mere gunah kya hain
ai dost tere gada ke aage
kuchh bhi nahin baadshah kya hain
tum sa koi bad-chalan na hoga
hai hai aashiq tabah kya hain
gori gori hai un ki surat
us par gesu-e-siyah kya hain
chakkar main hain shaiKH-o-gabr dono
apne liye KHud tabah kya hain
dekhe koi haal-e-ahl-e-duniya
ye log bhi wah wah kya hain
utren un se muqable ko
aflak pe mehr-o-mah kya hain
dhumen tegh-e-nigah ki hain
tewar ai kaj-kulah kya hain
shahid hain tere sitam ke lakhon
do-chaar us ke gawah kya hain
allah re un buton ki aankhen
kafir jadu nigah kya hain
kaT jaegi umr-e-chand-roza
fikren sham-o-pagah kya hain
un ka to jawab hi nahin hai
masha-allah wah kya hain
ai dil ulfat ke mahkame mein
qazi kya hai gawah kya hain
dil hai to ziyaada us se honge
ye nala-o-ashk-o-ah kya hain
pahlu mein nigar hath mein jam
is waqt to baadshah kya hain
un ki aamad jo ai 'saba' hai
sab matlab ru-ba-rah kya hain
(1070) Peoples Rate This