Jo Adu-e-bagh Ho Barbaad Ho
jo adu-e-bagh ho barbaad ho
koi ho gulchin ho ya sayyaad ho
mujh sa aashiq morid-e-bedad ho
tum baDe saffak ho jallad ho
kucha-e-jaanan se matlab hai hamein
dair viran ho haram barbaad ho
qaid-e-mazhab waqai ek rog hai
aadmi ko chahiye aazad ho
daur daur-e-mohtasib hai saqiya
hae kyunkar mai-kada aabaad ho
bik gae hain aap to ghairon ke hath
banda-parwar ab ghulam aazad ho
ye tamiz allah de sayyaad ko
bagh viran ho qafas aabaad ho
sarw-qaddon se agar pala paDe
KHub sidha bagh mein shamshad ho
aaina dil ka jo dikhlaun unhen
ja-e-hairat ho ajab rudad ho
tum wo ho mar jaen to bhi gham na ho
aish ho ishrat ho KHush ho shad ho
gumbad-e-gardun par ai dil aah se
kuchh na kuchh aafat paDe uftad ho
maut hansti hai KHizar ke haal par
ta-kuja hasti-e-be-buniyaad ho
mausam-e-gul ho junun ka josh ho
ja-ba-ja haddad ho fassad ho
kan rakh kar wo mere nale sune
zulf dud-e-shola-e-fariyaad ho
main wo bulbul hun jise dono hain ek
bagh ho ya KHana-e-sayyaad ho
nazr sar karta hun main ai shah-e-husn
hukm ho jallad ko irshad ho
rang laya hai laDakpan aap ka
nau-bahaar-e-gulshan-e-ijad ho
kya qayamat hai bura ho maut ka
hum na hon ye aalam-e-ijad ho
bar-e-ilaha yun uThen mahshar ko hum
hath ho aur daman jallad ho
zahir-o-baatin mein ai dil farq ho
but baghal mein ho KHuda ki yaad ho
un raqibon ko KHuda ghaarat kare
aap hon ye aashiq-e-nashad ho
aap ko apni KHushi se kaam hai
koi na-KHush ho koi nashad ho
aah aandhi hai miTane ke liye
naqsh-e-hasti chahiye barbaad ho
jae gulshan mein jo tu ai naunihaal
kya tawarud misra-e-shamshad ho
KHub hai us gul ko lae rah par
ai 'saba' tum bhi baDe ustad ho
(1174) Peoples Rate This